Ye matter nahi krta k kitne reviews hain. Balke ye baat ahm hai k wo product aap ki audiece ki search intent ko pura karti hai k nahi. Agr wo search intent ko pura kr rahi hai aur ap ko lag rha k ap ka user us product ko buy krne me interested ho ga to lazmi recommend kare.
Lekin ye zehn me rakhe k aisa nahi hai aik dafa recommend kr di to delete nahi ho sakti. Blake jub is page per traffic aaye to ye dekhe k log kon se product zyada khareed rahe hain. Agr to us ki conversion achi hui to us k content ko improve kare, warna us product ko delete kr de.
Ye aik long term process and jis me continuous improvement ki zarurat hoti hai. Koi bhi recommendation final nahi hoti.
Lekin phr bhi, agr ap number of reveiws k hisab se decision lena chahte hain to number of reviews ki bjaye relative reviews dekhe. Ye dekhe k is product k reviews doosre is jaise products k muqable me kitne hain. Aur phr wo product choose kare jis k reviews relatively zyada hain aur ache hai.
Reviews k zyada hone ka matlab hai k wo product achi convert ho rahi hai. Log use khareed rahe hain. Is ka matlab hai ap ko use bechne me zyada mehnat nahi karni pare gi.
In short, Jitne zyada reviews, utna behtar. Mgr agr kisi product ka aik bhi review nahi aur wo ap ko apni audience ki search intent k mutabiq lag rahi hai to lazmi ad kare aur baad me optimize kar le.